nit-nae zulm jhelta hun main jurm ye hai ki sochta hun main mujh ko sahra-nashin rahne do aane walon ka rasta hun main aaina rakh ke samne aksar teri aankhon mein jhankta hun main mujh ko majzub sab samajhte hain khud ko thoda sa jaanta hun main tujh se milne ki kya karun koshish ab to khud se bhi bhagta hun main pahle chup se tumhein shikayat thi ab ye kahte ho bolta hun main is tarah kaun tujh ko dekhega jis tarah tujh ko dekhta hun main mere lahje ke dard ko samjho tujh ko jaane se rokta hun main ab to 'asif' gae zamanon se apne bare mein puchhta hun main