nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kya laf tha baal us mukhde se uth jate to matla saf tha safi dil-ghazand ki kya thi dam-e-bos-o-kanar bose ko mushkil thaharna sine se ta naf tha ek nigah ka dur se bhi aaj kal mahrum hai dil ki tera muddaton khu-karda-e-altaf tha ho dar-e-mai-khana par be-dukht-e-raz baithe hue hazrat-e-'mamnun' yahi kya shewa-e-ashraf tha