pad gai dil par mere uftad kya ishq kafir kar gaya barbaad kya jis ko pahron hosh tak aana na ho us mein hogi taqat-e-faryaad kya tujh mein jurat hai to kuchh khatra nahin kar sakegi charkh ki bedad kya dil hi jab apna hua iza-talab chahen us ke zulm ki hum dad kya khwab mein bhi aap jab aate nahin rah sakunga phir bhala main shad kya dil ko bahlana hi gar manzur ho phul se jangal nahin aabaad kya aap-biti se hamein fursat nahin le ke baithen qissa-e-farhad kya dekhna ho to shikwa-e-faqr dekh shan-e-jam kya shaukat-e-shaddad kya mehrban hai tujh pe wo kyon in dinon us ko samjha 'arshi'-e-nashad kya