paDa hua hun tere pas itna sara main

pada hua hun tere pas itna sara main
aur is ke baad bhi kam par karun guzara main

ba-shakl-e-sabza-o-gul ab nikal raha hun jahan
gaya tha la ke inhin jangalon mein mara main

bahut hawas thi mujhe be-panah hone ki
padi wo zarb gira ho ke para-para main

tere nawah mein ab bhi bahut hun bikhra hua
hua nahin hun abhi jama tujh se sara main

ziyaada hai tu bahut aur main bahut kam hun
tu sud hai mera aur hun tera khasara main

jahan se tod diya tha hawa ne pichhli bar
wahin se tutne wala hun kya dobara main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close