pahadon se rah-e-safar par akele nikalte hain dariya sarasar akele guzarti hai kya kya aziyyat kisi par koi chal ke dekhe ghadi bhar akele ho kitna bhi mushkil safar par ye dariya to chalta hi rahta hai hans kar akele mile un se aakar na dariya agar to bharenge kabhi kya samundar akele jo karte hain chinta sabhi ki khushi ki wo rahte hain duniya mein aksar akele ye duniya bhala ras aai kab un ko sada se rahe hain payambar akele sikhata hai suraj ye hum ko ki kaise kare koi jag ko munawwar akele na sangi na sathi na rupya na paisa gaya is jahan se sikandar akele unhen yaad rakhti hai duniya ye 'madhuman' jo lete hain duniya se takkar akele