pahchan kam hui na shanasai kam hui

pahchan kam hui na shanasai kam hui
baqi hai zakhm zakhm ki gahrai kam hui

sulga hua hai zist ka sahra ufuq ufuq
chehron ki dilkashi gai zebai kam hui

duri ka dasht jis ke liye sazgar tha
aangan mein qurb ke wo shanasai kam hui

ab shahr shahr aam hai goyai ka sukut
jab se lab-e-sukut ki goyai kam hui

kuchh ho na ho khamoshi-e-aina se magar
parchhaiyon ki marka-arai kam hui

har rang zindagi hai tah-e-gard-o-rozgar
taswir ki wo raunaq-o-ranai kam hui

ek ajnabi dayar mein guzre hain din magar
ye kam nahin khulus ki ruswai kam hui

'rahi' rafaqaton ka ye anjam dekh kar
sae ke sath apni shanasai kam hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close