pahle jo tha wahi hai haal miyan ishq ko hai kahan zawal miyan ek dil hi nahin bahut kuchh hai jis ke lutne ka hai malal miyan razm-gah-e-hayat mein kya kya kaam aai hai gham ki dhaal miyan aadmi waqt ki jabin par hai aaj sab se bada sawal miyan dil halak-e-gham-e-zamana hua pad gaya aaine mein baal miyan qais-o-farhad se na do tashbih aap apni hun main misal miyan ek yahi raushni-e-taba to hai meri punji meri manal miyan is gham-e-zist ke talatum mein kya firaq aur kya visal miyan kab hua hum se be-kulahon ka kaj-kulahon se ittisal miyan hum qalandar hain hum se mat uljho aa gaya gar kahin jalal miyan sach hai 'jabir' ka dam ghanimat hai ab kahan aise khush-maqal miyan