pahle sahra se mujhe khinch ke laya gaya hai

pahle sahra se mujhe khinch ke laya gaya hai
aur phir shahr mein le ja ke basaya gaya hai

yani har waqt hi maujud wo rahta hai yahan
yani wo laut ke aaya hai to saya gaya hai

be-sabab rahta nahin hai wo hamesha bechain
us ki marzi ke baghair us ko banaya gaya hai

husn-e-khud-ara ki taswir banane ke liye
rang kuchh meri nazar se bhi churaya gaya hai

kho gaya hun main kahin shahr ke shor-o-ghul mein
dhundne ke liye sahra ko bulaya gaya hai

inhin atraf mein sunte hain hua tha wo gum
inhin atraf mein sunte hain wo paya gaya hai

kis ne suraj ka safar rok ke rakkha hua tha
mere aangan se bahut der mein saya gaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close