pahle to soch ke dozaKH mein jalata hai mujhe

pahle to soch ke dozakh mein jalata hai mujhe
phir wo shishe mein mera chehra dikhata hai mujhe

shayad apna hi taaqub hai mujhe sadiyon se
shayad apna hi tasawwur liye jata hai mujhe

bahar aawazon ka ek mela laga hai dekho
koi andar se magar todta jata hai mujhe

yahi lamha hai ki main gir ke shikasta ho jaun
surat-e-shisha wo hathon mein uthata hai mujhe

jism minjumla-e-ashob-e-qayamat thahra
dekhun kaun aa ke qayamat se bachata hai mujhe

zalzala aaya to diwaron mein dab jaunga
log bhi kahte hain ye ghar bhi daraata hai mujhe

kitna zalim hai meri zat ka paikar 'akhtar'
apni hi sans ki suli pe chadhata hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close