pairahan jism pe aur munh mein niwala hota kash har shakhs ke aangan mein ujala hota chhod kar shakh na jate ye parinde shayad pyar se hum ne agar un ko sanbhaala hota rabta tod diya ek hi jhatke mein kyon guftugu kar ke koi hal to nikala hota itne rishton ko bikharne se bacha sakte the kash is pal ko kisi tarah to tala hota mil ke rahte jo mohabbat se sabhi gul is mein phir to gulshan ka nazara hi nirala hota kho chuke hote udasi ke samundar mein hum khud ko gar waqt ke sanche mein na dhaala hota hum bhi auron ki tarah waqt pe sote 'madhuman' rog hum ne jo sukhan ka nahin pala hota