pal KHushi ke to kabhi aankh mein pani dega

pal khushi ke to kabhi aankh mein pani dega
waqt har roz nai ek kahani dega

dil mere chhed na tu phir wo purane qisse
zikr-e-mazi mujhe bas ashk-fishani dega

ped kikar ke bhi aaenge kahin rahon mein
har jagah to wo nahin raat ki rani dega

zindagi ek jagah par hi ruki hai kab se
jaane ab kab wo use aa ke rawani dega

bas isi aas pe atki hai meri jaan ab tak
koi to rut wo kabhi mujh ko suhani dega

laut aaega wo mausam hai bharosa ye mujhe
phir mere bagh ko wo rang-fishani dega

dil se kahne ki to koshish to zara kar 'madhuman'
tere alfaz ko phir khud wo maani dega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close