palkon ki dahliz pe chamka ek sitara tha sahil ki is bhid mein jaane kaun hamara tha kohsaron ki gunj ki surat phail gaya hai wo main ne apne-ap mein chhup kar jise pukara tha sar se guzarti har ek mauj ko aise dekhte hain jaise is girdab-e-fana mein yahi sahaara tha hijr ki shab wo nili aankhen aur bhi nili thin jaise us ne apne sar se bojh utara tha jis ki jhilmilta mein tum ne mujh ko qatl kiya patjhad ki us raat wo sab se raushan tara tha tark-e-wafa ke baad mila to jab malum hua is mein kitne rang the us ke kaun hamara tha kaun kahan par jhuta nikla kya batlate hum duniya ki tafrih thi is mein hamein khasara tha jo manzil bhi rah mein aai dil ka bojh bani wo us ki tabir na thi jo khwab hamara tha ye kaisi aawaz hai jis ki zinda gunj hun main subh-e-azal mein kis ne 'amjad' mujhe pukara tha