par is dukh-dard ke dariya ko kar jaenge hum

par is dukh-dard ke dariya ko kar jaenge hum
han magar us pal teri nazron mein mar jaenge hum

hae re us wasl ka yaad aana jab kahte the wo
chhodiyega hath ab jaldi se ghar jaenge hum

daudna zine pe wo edi mein moch aana teri
ab to in yaadon ke bal par hi guzar jaenge hum

ek tujhe khone ka gham aur zindagi ke sau sitam
koi to soche ki aise mein bikhar jaenge hum

jaise barish mein utar jata hai diwaron ka rang
waise kab socha tere dil se utar jaenge hum

puchhte hain rah chalte har musafir se ki ab
us ke kuche jaenge bhi to kidhar jaenge hum

hum ko rudad-e-gham-e-ulfat ke mausam yaad hain
yani apni shairi khushbu se bhar jaenge hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close