parda-e-qalb mein anwar tumhaare dekhe guftugu kis ne suni kis ne ishaare dekhe na-tawani pe bharosa hai ajal par takiya tu ne nakaam-e-mohabbat ke sahaare dekhe mehrbani ki adaen to qayamat hongi jaan lene mein ye andaz tumhaare dekhiye girya-e-chashm se tufan bapa hai lekin is ka dariya kahin dekha na kinare dekhe khaksaran-e-jahan-ra ba-haqarat ma-nigar hum ne is bhes mein allah ke pyare dekhe partaw-e-shoala-e-rukh aur araq-alud jabin jis ne dekhe na hon pani mein sharare dekhe