pas uske mere gham ka mudawa bhi nahin hai

pas us ke mere gham ka mudawa bhi nahin hai
lekin mujhe us shakhs se shikwa bhi nahin hai

kya ilm tha ye din bhi dikhaegi mohabbat
wo aise mila jaise shanasa bhi nahin hai

aanchal pe tere tank to deta dam-e-rukhsat
palkon pe meri koi sitara bhi nahin hai

hairan hun main aaj sar-e-jada-e-ikhlas
ta-dur koi naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin hai

kuchh habs to tute ki teri yaad ka baadal
khulta bhi nahin aur barasta bhi nahin hai

'abid' gham-e-hasti se nikal jaenge bach kar
is bab mein hum ne kabhi socha bhi nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close