pata ab tak nahin badla hamara wahi ghar hai wahi qissa hamara wahi tuti hui kashti hai apni wahi thahra hua dariya hamara ye maqtal bhi hai aur kunj-e-aman bhi ye dil ye be-nishan kamra hamara kisi jaanib nahin khulte dariche kahin jata nahin rasta hamara hum apni dhup mein baithe hain 'mushtaq' hamare sath hai saya hamara