pawe kis tarah koi kis ko hai maqdur hamein le gaya ishq tera khinch bahut dur hamein subh ki raat to ro ro ke ab aa ai be-mehr roz-e-raushan ko dikha mat shab-e-dijur hamein rabt ko chahiye yak naua ki jinsiyyat yan chashm-e-bimar use hai dil-e-ranjur hamein baat gar kije to hai banda-nawazi warna dekhna hi hai faqat aap ka manzur hamein ulfat us shokh ki chhute hai koi jite-ji rakkho is pand se ai naseho mazur hamein pi hai mai raat ko ya jage ho tum kuchh to hai aankhen aati hain nazar aaj to makhmur hamein yan se 'bedar' gaya wo mah-e-taban shayad nazar aata hai ye ghar aaj to be-nur hamein