payam le ke hawa dur tak nahin jati nawa-e-khalq-e-khuda dur tak nahin jati yahin kahin pe bhatakti hain zer-e-charkh-e-kuhan hamari koi dua dur tak nahin jati gale mein halqa-e-zarrin halaq mein luqma-e-tar tabhi to apni sada dur tak nahin jati kisi ke chehre ke pichhe ka haal kya malum shikast-e-dil ki sada dur tak nahin jati mere diye ko bas ek zid si hai andhere se agarche us ki ziya dur tak nahin jati ajib khauf ka mausam hai in dinon 'imrran' sugandh le ke hawa dur tak nahin jati