pesh-e-zamin rahun ki pas-e-asman rahun rahta hun apne sath main chahe jahan rahun kaisa jahan kahan ka makan kaun la-makan yani agar kahin na rahun to kahan rahun ai ishq mera hona na hona hai mujh talak ab main nishan khinchun ki main be-nishan rahun kya dhundhta rahun main yunhi dahr mein sabaat kya marg-e-na-gahan ke liye na-gahan rahun khakistar-e-sitara hai aainda-e-numu behtar yahi hai main kisi jaanib rawan rahun