pesh-tar jumbish-e-lab baat se pahle kya tha zehn mein sifr ki auqat se pahle kya tha waslat o hijrat-e-ushshaq mein kya tha awwal nafi thi baad to isbaat se pahle kya tha koi gardish thi ki sakit the zamin o khurshid gumbad-e-waqt mein din raat se pahle kya tha main agar pahla tamasha tha tamasha-gah mein mashghala us ka meri zat se pahle kya tha kuchh wasila to raha hoga shikam-seri ka rizq-e-khufta ki nabaatat se pahle kya tha main agar aadam-e-sani hun to wirsa hai kahan zarf-e-ajdad mein amwat se pahle kya tha har mulaqat ka anjam judai tha agar phir ye hangama mulaqat se pahle kya tha main bhi maghlub tha hajat ki kasrat se magar lutf us ko bhi munajat se pahle kya tha