phir koi mahshar uthane meri tanhai mein aa apne hone ki khabar le kar kabhi basti mein aa dekhna thahra to phir ek ye tamasha bhi sahi aag lagne ki khabar sun kar hi ab khidki mein aa ai mere honton ki lazzat shakh ko bojhal na kar ek hilore mein shajar se tut kar jholi mein aa jurm-e-be-lazzat hai sahil par teri tar-damani ya palat khushki ki jaanib ya khule pani mein aa tod bhi de halqa-e-yaran bahut shab dhal chuki naql-e-zindani ko ghar ki chaar-diwari mein aa mere pairon mein to zanjiren gali kuchon ki hain mujh se milne shahr ki gunjaan aabaadi mein aa khwahish-e-be-khanuman ko la makan-e-harf mein nau-walad bachche ki surat paikar-e-mani mein aa nind kuchh kar le ki taza aankh pe suraj khule subh sahil par utarna hai to is kashti mein aa khun shiryanon ka aankhon mein dikhai de sake tu bhi dariya hai agar 'shahid' to tughyani mein aa