phir rah dikha mujh ko ai mashrab-e-rindana kuchh bahs nahin is se kaba hai ki but-khana kham hai na subuhi hai shisha hai na paimana kya jaane kahan gham hai tabani-e-mai-khana is tarah bhi hoti hai tashhir-e-wafa aksar phirti hai saba le kar khakistar-e-parwana ki wusat-e-sahra ki qadmon ne pazirai mujh sa na koi hoga shaista-e-virana har rind-e-bala-kash par girti hai sar-e-mahfil barq-e-nigah-e-saqi paimana-ba-paimana irfan-e-talab kahiye ya tark-e-talab us ko manzil ka shanasa bhi manzil se hai begana kuchh khar-e-chaman ka bhi ho zikr chaman-sazo ghunchon ka bayan ta-kai afsana-dar-afsana farzangi-e-dil bhi kuchh chahiye wahshat mein diwana sar-e-mahfil ban jae na diwana thi sham-e-farozan ki targhib-e-jigar-sozi ya aag mein khud apni jal uttha hai parwana asrar do-alam ke khulte hain 'raza' dil par takwin-e-azal ka hai mahram dil-e-diwana