phul sa jism na raste mein jalaya kijiye main sanobar hun meri chhanw mein aaya kijiye aur kya chahiye is daur ke insanon ko sirf do chaar ghadi sath bitaya kijiye aap sagar hain to sairab karen pyase ko aap baadal hain to mujh dasht pe saya kijiye aap se nur kei khairaat talab karte hain ban ke khurshid na phulon ko jalaya kijiye kam se kam dekh sakun apni haqiqat kya hai meri aankhon se na aaina chhupaya kijiye