puchho na kuchh subut-e-KHirad maine kya diya

puchho na kuchh subut-e-khirad main ne kya diya
ek mast-e-naz ko dil-e-be-muddaa diya

ab kya gila karun adam-e-iltifat ka
meri nigah-e-yas ne sab kuchh jata diya

badhte hue shuur mein gum ho raha hun main
ehsas-e-husn aap ne itna badha diya

dekhi na jab tajalli-e-takrar-ashna
be-rangiyon ka rang khudi ne jama diya

hai shad be-dili pe tahi-dast-e-arzu
achchha kiya nishan-e-tamanna mita diya

mayus-e-jalwa-ha-e-tarab hun khabar nahin
dil khud hi bujh gaya ki kisi ne bujha diya

kya lutf-e-iztirab dikhaun ki aap ne
ehsa-e-dard dard se pahle mita diya

anjam-e-did-o-eid ab ai ham-nashin na puchh
wo mujh ko yaad hai mujhe jis ne bhula diya

malum tha tujhe ki wo dard-ashna nahin
'manzur' dil ka dard unhen bhi suna diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close