puchhte ho kya ki kya hai aadmi aab mitti hai hawa hai aadmi fitratan to hai bada hi dil-jala par mizajan dil-bujha hai aadmi gutthiyan taqdir ki suljhae kya khud hi jab uljha hua hai aadmi dur rahne hi mein samjho aafiyat ye na bhulo sar-phira hai aadmi ibtida se umr ke anjam tak jang apni lad raha hai aadmi kar raha hai zindagi ka ehtisab aap apna aaina hai aadmi lad nahin sakta wo apne aap se kitna bebas ho gaya hai aadmi