pukarta hun main al-aman al-aman allah bacha le mere yaqinullah ki jaan allah wo jin ko tu ne ata kiya hai jahan allah bana rahe hain tere liye hi makan allah wo yaad aata hai sirf yaron ke puchhne par tu yaad aata hai sirf waqt-e-azan allah tere taghaful ki hi badaulat hun aaj jo hun mujhe koi janm-zat kafir na jaan allah main jab wo jannat bhi chhod aaya to duniya kya hai le main chala tu sambhaal apna jahan allah