pursish ai chashm-e-gham-gusar na kar

pursish ai chashm-e-gham-gusar na kar
dil ko rah-rah ke ashk-bar na kar

aabla-pai hai hayat meri
meri rahon se dur khar na kar

ye khuda par bhi harf rakhte hain
nukta-chinon se dil-figar na kar

dam-e-rukhsat bahut rulaegi
zindagi se tu itna pyar na kar

ai saba khil uthenge zakhm-e-dil
hum se tu zikr-e-nau-bahaar na kar

main bhi tera khuda nahin tu bhi
rawish-e-kufr ikhtiyar na kar

apni khud-kardagi dikhane ko
hadson par hi inhisar na kar

daman-e-gul-rukhan mein phul bhi hain
sang hi ka tu intizar na kar

bar-e-ehsan se mar na jaun kahin
har-nafas lutf-e-be-shumar na kar

tu jise dekh kar tadap utthe
wo sitam ai sitam-shiar na kar

tu na gin paega inhen ta-umr
'raaz' ke zakhm-e-dil shumar na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close