pursish hai chashm-e-ashk-e-fasha par na aae harf duben bhi hum to sail-e-rawan par na aae harf donon hi apni apni jagah la-jawab hain apne yaqin pe un ke guman par na aae harf ai rashk itna wahm-o-guman bhi baja nahin ehsas-e-qurbat-e-rag-e-jaan par na aae harf dil na-murad shoala-e-ariz se jal gaya darte the hum ki soz-e-nihan par na aae harf hushiyar bazm-e-ghair mein nam un ka aa na jae ai naghma-sanj josh-e-bayan par na aae harf tir-e-nigah dil mein taraazu hua to ho ab tere abruon ki kaman par na aae harf hum un ke ru-ba-ru rahe is maslahat se chup mahfil mein apne ijz-e-bayan par na aae harf ud jae tegh se to rahe sarfaraaz sar kat jae baat par to zaban par na aae harf is kashmakash mein teri gali se pare rahe aae kahan pe harf kahan par na aae harf 'tarzi' tawaf-e-khana-e-khali se khush nahin bas jao tum to dil ke makan par na aae harf