qaba-e-jaan purani ho gai kya haqiqat bhi kahani ho gai kya fasurda phir hai is basti ka mausam kahin phir na-gahani ho gai kya diye ab shahr mein raushan nahin hain hawa ki hukmarani ho gai kya rawabit dhup se hain ab tumhaare bahut be-saebani ho gai kya 'nasim' us shakhs se mahrum ho kar teri jadu-bayani ho gai kya