qabil-e-rashk zat phulon ki khub hai kaenat phulon ki khushbuon ka safar tawil magar mukhtasar hai hayat phulon ki kar chuke hain wuzu wo shabnam se ho rahi hai salat phulon ki so gae hain lipat ke kanton se kya qayamat hai raat phulon ki hai asir-e-qafas ke honton par zikr kaliyon ka baat phulon ki un ke hansne se khil gae ghunche un ke dam se hayat phulon ki chand lamhon mein khil ke murjhaen zindagi be-sabaat phulon ki sari mahfil mahak gai 'anjum' sher hain ya baraat phulon ki hai ghazal mein chamak bhi 'anjum' ki aur mahak sath sath phulon ki