qad-awar logon ka qad hi napa jata hai is duniya mein sone ko hi parkha jata hai tum bazar mein aa to gae ho lekin dhyan rahe sham se pahle bazaron se lauta jata hai kaise kaise chehron se rang udne lagte hain jab bhi hum donon ko sath mein dekha jata hai apni haqiqat jaanne wala zinda rahta hai aur is se munh modne wala marta jata hai pyas nahin ehsas ki qimat samne aati hai jab jab bhi dariya ko samundar samjha jata hai