qadam kahin pe irada kahin ka rakhte hain khala mein rahte hain manzar zamin ka rakhte hain ye kaun un ki nazar wahimon se bharta hai jo apne baste mein nama yaqin ka rakhte hain ye kya ki ruh ki koi zamin na koi watan jahan ki mitti ho us ko wahin ka rakhte hain isi liye to parindon ke par nikalte hain ki aastan na bakheda jabin ka rakhte hain usi ke faiz se na-mehrban hua hai dil makan mizaj hamesha makin ka rakhte hain