qasid to liye jata hai paigham hamara par darte hue le jo wahan nam hamara kya tab hai jo samne thahre koi us ke aafat hai ghazab hai wo dil-aram hamara aaghaz ne to ishq ke ye haal dikhaya ab dekhiye kya howega anjam hamara ai charkh isi tarah tu gardish mein rahega par tujh se na niklega kabhu kaam hamara ai pir-e-mughan dekhiyo 'asif' ye kahe hai khali na rahe mai se sada jam hamara