qissa-e-naf-o-zarar yaad aaya phir azizon ka hunar yaad aaya pet par bandh liya hai patthar jab kabhi luqma-e-tar yaad aaya aaya piri mein ibaadat ka khayal hae kab zad-e-safar yaad aaya jab kabhi us ko bhulana chaha wo ba-andaz-e-digar yaad aaya dekh kar dast-e-hinai un ka khun-e-dil khun-e-jigar yaad aaya nahin aasan zamin-e-'ghaalib' tha hamein zoam-e-hunar yaad aaya koi milta tha gale hum se 'shakil' dekh kar shane ko sar yaad aaya