raat aangan mein chand utra tha tum mile the ki khwab dekha tha ab ki khud hain hisar-e-zat mein band warna apna bhi zor chalta tha shisha-e-dil pe aisi chot padi ek lamhe mein reza reza tha us ke kuche ke ho liye warna rasta har taraf nikalta tha rut jo badli to ye bhi dekh liya patta patta zamin pe bikhra tha ek khushbu hai jaani pahchani is kharabe mein kaun rahta hai mom ki tarah wo pighal sa gaya wo jo patthar ki tarah lagta tha ab ki sunte nahin ho baat magar phir kahoge ki koi kahta tha raat sunsan thi magar 'nadir' hashr sa dil mein ek barpa tha