raat lambi bhi hai aur tarik bhi shab-guzari ka saman karo dosto jaane phir kab ye milna muqaddar mein ho apni apni kahani kaho dosto kis pari-chehra se pyar tum ne kiya kaun se des ke shahzade ho tum apni rudad-e-ulfat suna kar baham dastan koi tashkil do dosto mujh ko ehsas hai tum bhi meri tarah jaan-o-dil ku-e-ulfat mein haar aae ho ab ye bazi nae sar se mumkin nahin apna anjam khud soch lo dosto subh hogi to zalim zamane ke gham tum pe abr-e-sitam ban ke chha jaenge fursat-e-bazm-e-shab se ghadi-do-ghadi baat aapas ki koi karo dosto dhal gai raat tare bikharne lage muntashir ho chale dhyan ke silsile koi dam aur dil mein farozan raho ek muddat ke baad aae ho dosto