raat phir rang pe thi us ke badan ki khushbu dil ki dhadkan thi ki udte the lahu mein jugnu jaise har shai ho kisi khwab-e-faramosh mein gum chand chamka na kisi yaad ne badla pahlu subh ke zina-e-khamosh pe qadmon ke gulab sham ki band haweli mein hansi ka jadu sehn ke sabz andhere mein damakte rukhsar saf bistar ke ujale mein chamakte gesu jhilmilate rahe wo khwab jo pure na hue dard bedar tapakta raha aansu aansu