raaz ashkon ka chhupaun to chhupa bhi na sakun

By johar-siddiqiJanuary 15, 2022
raaz ashkon ka chhupaun to chhupa bhi na sakun
aur jalte hue daman ko bacha bhi na sakun
jaane kya ghair ki mahfil mein hai saman-e-nashat
dil-o-jaan de ke jo tere liye la bhi na sakun


ai mere azm-e-safar kya tujhe maut aai hai
shahr-e-qatil mein na rah paun to ja bhi na sakun
shauq-e-bebak ne socha na tha sajdon ka maal
ghairat-e-waza se ab sar ko utha bhi na sakun


teri bakhshish ka ye andaz hai kya ai saqi
be-piye bhi na bane jam utha bhi na sakun
dast-e-mahbub pe bhi rang-e-hina bar hua
khak mein khun-e-tamanna ko mila bhi na sakun


kahna khamoshi-e-sahra se ye 'jauhar' ka payam
aisa majbur nahin hun ki phir aa bhi na sakun
93041 viewsghazalEnglish