raftagan ki sada nahin main hun ye tera wahima nahin main hun tere mazi ke sath dafn kahin mera ek waqia nahin main hun kya mila intiha-pasandi se kya main tere siwa nahin main hun ek muddat mein ja ke mujh pe khula chand hasrat-zada nahin main hun us ne mujh ko muhaal jaan liya main ye kahta raha nahin main hun main hi ujlat mein aa gaya tha idhar ye zamana naya nahin main hun meri wahshat se dar gae shayad yar baad-e-fana nahin main hun main tere sath rah gaya hun kahin waqt thahra hua nahin main hun gahe gahe sukhan zaruri hai samne aaina nahin main hun sarsari kyun guzarta hai mujhe ye mera majra nahin main hun us ne puchha kahan gaya wo shakhs kya batata ki tha nahin main hun ye kise dekhta hai mujh se udhar tere aage khala nahin main hun