rah-e-pur-pech mein guzra wo safar yaad aaya ashk palkon se gire khun-e-jigar yaad aaya jis ko nazron mein basae hue hum rahte the hamein rah rah ke wo be-mehr nazar yaad aaya hum ne har rah mein dhunda use har sans ke sath wo har ek mod pe har sham-o-sahar yaad aaya ek saya sa raha sath mere sae ke lamha lamha hamein wo chaar pahar yaad aaya jis ko bhule se kabhi bhul na pae the kahin hamein har bazm mein wo chashm-ba-sar yaad aaya wahi andaz-e-takallum wahi nazron mein tazad wo mera arz-e-tamanna ka asar yaad aaya bahr-e-tufan-e-hawadis mein ghire the aise lab-e-sahil bhi wahi madd-o-jazar yaad aaya