rah-e-wafa se main ek gam bhi hata to nahin lahuluhan hua hun magar dara to nahin nazar mein shaiba-e-khauf kis liye aae ye sail-e-jabr hujum-e-barhana-pa to nahin khinchaw hota hai mahsus khun ke qatron mein ye ruh-e-asr kahin ruh-e-karbala to nahin ajab tanaw hai mahaul mein kahen kis se kahin pe aaj koi hadsa hua to nahin labon pe harf-e-wafa hai to phir nigahon mein ye khauf kyun ho kahin koi dekhta to nahin