rah par un ko laga lae to hain baaton mein

rah par un ko laga lae to hain baaton mein
aur khul jaenge do chaar mulaqaton mein

ye bhi tum jaante ho chand mulaqaton mein
aazmaya hai tumhein hum ne kai baaton mein

ghair ke sar ki balaen jo nahin len zalim
kya mere qatl ko bhi jaan nahin hathon mein

abr-e-rahmat hi barasta nazar aaya zahid
khak udti kabhi dekhi na kharabaaton mein

yarab us chand ke tukde ko kahan se laun
raushni jis ki ho in taron bhari raaton mein

tumhin insaf se ai hazrat naseh kah do
lutf un baaton mein aata hai ki in baaton mein

daud kar dast-e-dua sath dua ke jate
hae paida na hue panw mere hathon mein

jalwa-e-yar se jab bazm mein ghash aaya hai
to raqibon ne sambhaala hai mujhe hathon mein

aisi taqrir suni thi na kabhi shokh-o-sharir
teri aankhon ke bhi fitne hain teri baaton mein

hum se inkar hua ghair se iqrar hua
faisla khub kiya aap ne do baaton mein

haft aflak hain lekin nahin khulta ye hijab
kaun sa dushman-e-ushshaq hain in saton mein

aur sunte abhi rindon se janab-e-waiz
chal diye aap to do-chaar salawaton mein

hum ne dekha unhin logon ko tera dam bharte
jin ki shohrat thi ye hargiz nahin in baaton mein

bheje deta hai unhen ishq mata-e-dil-o-jaan
ek sarkar luti jati hai saughaton mein

dil kuchh aagah to ho shewa-e-ayyari se
is liye aap hum aate hain teri ghaton mein

wasl kaisa wo kisi tarah bahalte hi na the
sham se subh hui un ki mudaraaton mein

wo gae din jo rahe yaad buton ki ai 'dagh'
raat bhar ab to guzarti hai munajaton mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close