rahe hum aashiyan mein bhi to barq-e-ashiyan ho kar laga di aag apne ghar mein sargarm-e-fughan ho kar na apne gham-zadon ko khush karo ab mehrban ho kar buto tum khush raho hum kya karenge shadman ho kar khile ghunche na bu phuti na shakh-e-gul phali-phuli qafas mein jab se hum aae bahaar aai khizan ho kar chale ho gul-badaman kuchh to kahte jao un se bhi ki tum se kah rahe hain kuchh anadil ham-zaban ho kar jawan hone na pae the ki dil aaya hasinon par ajal ye kahti aai kya karoge tum jawan ho kar hue past aise un ki khak bhi udte nahin dekhi rahe rahne ko kitne is zamin par aasman ho kar jo khul kar war musa par to hum par chot parde mein wahi jalwa ayan ho kar wahi jalwa nihan ho kar qayamat un ki chheden hain mere betab karne ko jo nawak aae chutki se to un ki chutkiyan ho kar milaya khak ho kar hasraton ko apni mitti mein chhupaya karwan ko hum ne gard-e-karwan ho kar kabhi taqrir-e-saqi mein jo laghzish us ne pai hai to mauj-e-mai ne hum se guftugu ki hai zaban ho kar ye rangin nara-e-mastana kis ke hain are zahid sada naqus ki de di kahin gunji azan ho kar tere kuche mein pisa hai usi ne hum gharibon ko gira hai saya-e-diwar hum par aasman ho kar kisi mahram sambhaalegi na dohrae hue aanchal rahenge wo na qabu mein kisi ke bhi jawan ho kar dakan mein kya wazir-e-fauj ne mehman nawazi ki janab-e-'shad' ke dar se phire hum shadman ho kar 'riyaz' is waza se pahunche ki bole mai-kade wale buzurg-e-khizr-surat aae jannat mein jawan ho kar