rahm kar o bad-guman-e-arzu

rahm kar o bad-guman-e-arzu
lut raha hai karwan-e-arzu

hoshiyar o bad-guman-e-arzu
jag uthe ab khuftagan-e-arzu

rang lai hai fughan-e-arzu
munfail hai ab wo jaan-e-arzu

kya kiya tu ne fughan-e-arzu
kar diye zahir nishan-e-arzu

rukh bhi ab karte nahin manzil ki samt
thak gae aazurdagan-e-arzu

un ki aankhon mein bhi aansu aa gae
sun ke meri dastan-e-arzu

thartharai hai jabin-e-ashiqi
samne hai aastan-e-arzu

dil hi dil mein hae re aadab-e-husn
kah raha hun dastan-e-arzu

bekasi nazron se teri aashkar
mera chehra tarjuman-e-arzu

aap kyon giryan hain mere haal par
aur lije imtihan-e-arzu

meri surat dekh kar wo ro diye
ho gai sharh-e-nihan-e-arzu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close