rakkha nahin ghurbat ne kisi ek ka bharam bhi

rakkha nahin ghurbat ne kisi ek ka bharam bhi
mai-khana bhi viran hai kalisa bhi haram bhi

luta hai zamane ne mera besh bhi kam bhi
chhina tha tujhe chhin liya hai tera gham bhi

be-ab hua ab to mera dida-e-nam bhi
ai gardish-e-alam tu kisi mod pe tham bhi

sun ai but-e-jaan-dar but-e-simbar ai sun
tode na gae hum se to patthar ke sanam bhi

main wasl ki bhi kar na saka shiddat-e-gham kam
aaya na kisi kaam tere hijr ka sam bhi

diwar-e-sukun baith gai shiddat-e-nam se
barsa hai mere ghar pe agar abr-e-karam bhi

tanhai na puchh apni ki sath ahl-e-junun ke
chalte hain faqat chand qadam rah ke kham bhi

sahra-e-gham-e-jaan mein bagulon se bacha kaun
mit jaenge ai dost tere naqsh-e-qadam bhi

sunte hain chamakta hai wo chand ab bhi sar-e-baam
hasrat hai ki bas ek nazar dekh len hum bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close