rang laegi iltija meri sun hi lega kabhi khuda meri zabt-e-gham ko duaen deta hun rah gai ghut ke har sada meri us ki banda-nawaziyan dekho bakhsh deta hai har khata meri sunne walon ke dil tadap utthe saz-e-gham ban gai sada meri wasl mumkin nahin visal sahi ab to kuchh aur hai dua meri be-sahaaron ka aasra tu hai kaun sunta tere siwa meri ye mashiyyat ke raaz hain 'shankar' ibtida meri intiha meri