rang maila na hua jama-e-uryani ka sar-o-saman hai hamein be-sar-o-samani ka aaina dekhe hai wo aur use aaina zor aalam hai dila aalam-e-hairani ka dam-e-hasti pe habab apni abas ubhre tha aankh khulte hi maqam us pe khula fani ka tishnagi khak bujhe ashk ki tughyani se ain barsat mein bigde hai maza pani ka zulf gar khinch sake yar ke tu shane se hath yak-dast qalam kijiyega 'mani' ka jhad gai abar-e-bahaari ki bhi shekhi lekin na ghata zor mere ashk ki tughyani ka ai junun roz rahe hai mere daman se laga hun qadam-bos na kyun khar-e-bayabani ka kyun na angusht-numa howe hilal-abru zor aalam hai tere qashqa-e-peshani ka dil na chhut zulf-e-butan chashm ka bandhe hai khayal yaad mazmun hai pareshan ko pareshani ka jam-o-mina jo bane aabla o dagh 'nasir' dil ne saman kiya kis ki ye mehmani ka