rang us ka naya nazar aaya sham tha dhup sa nazar aaya wahi kamra wahi tha sab saman wo magar dusra nazar aaya raste mein wo aa gaya tha nazar phir kahan rasta nazar aaya wo gali dusri nazar aai dar-o-diwar sa nazar aaya wo jo tabir tha mujhe ek din khwab hota hua nazar aaya jo mayassar hai is mein bas 'khawar' dil hi kuchh kaam ka nazar aaya