ranj rahat-asar na ho jae dard ka dil mein ghar na ho jae munh chhupana pade na dushman se ai shab-e-gham sahar na ho jae kufr manzur hai mujhe dil se wo musalman agar na ho jae hath uljha rahe gareban mein chaak daman udhar na ho jae hai 'zahir' ek mard-e-sanjida han jo aashufta-sar na ho jae