raqs karte mastiyon ke sainkadon aalam gae mahfil-e-jam ban gai jis anjuman mein hum gae har alam se har bala se mil gai dil ko najat jab se tera gham mila hai apne sare gham gae aa gai kya jaaniye phir kis masiha-dam ki yaad dard-e-paiham ruk gaya ashk-e-musalsal tham gae chha gain rindan-e-mahfil par bala ki mastiyan bazm mein jis samt chhalkate wo jam-e-jam gae kaun kahta hai faza-e-dahr ab barham nahin kaun kahta hai teri zulfon ke pech-o-kham gae tha wo takiya hum faqiron ka hi ai hamdam jahan jubba-sai ko hazaron akbar-e-azam gae rah gae aghyar sab hairan-o-shashdar ai 'umid' is ada se aaj un ki anjuman mein hum gae